Bismillahirrahmanirrahim*
✦ *Cheenk aane par jo Alhamdulillah kahe usee ko YarhamakAllah kahna chahiye*
------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas do admiyon ko cheenk aayee Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Ek ki cheenk par dua di (yani yarhamakAllah kaha) aur dusre ki cheenk Ka Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Jawab nahi diya , usne Kaha Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Aap ne uski cheenk par dua di aur meri cheenk par Aap ne dua Nahi di, to Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya unko cheenk aayee to unhone Allah Subhanahu ki hamd bayan ki aur aapko cheenk aayee to aapne Allah Subhanahu ki hamd bayan nahi ki
Jamia Tirmaizi, Jild 2,640-Sahih
------
No comments:
Post a Comment