Bismillahirrahmanirrahim
✦ Part 14 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
(Gustakh e Rasool ka ibrat naak anjam)
✦ Anas bin Malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek shaksh pahle Esaayee ( Christian) tha , phir wo Islam mein Dakhil ho gaya tha , usne Surah baqra aur Aal-e-Imran parh li phir wo Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam ka munshi ( unke liye likhny wala) ban gaya , phir wo shaksh murtad ho gaya aur Esaayee ban gaya aur kahne laga ki Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ko jo kuch maine likh diya hai uske siwa unhey kuch bhi malum nahi , phir Allah ke hukm se usey Maut aa gayee, aur uske aadmeeyon ne usey dafan kar diya jab subah huyee to sabne dekha ki uski laash Qabr se nikal kar zameen ke upar pardi hai, Eesaeeyon ne kaha ki ye Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam ) aur unke saathiyon ka kaam hai , kyunki uska deen isne chor diya tha, isliye unhone iski Qabr khodi hai, aur lash ko bahar nikal kar phenk diya hai, phir unhone dusri Qabr khodi jo bahut ziyada gahri thi, lekin jab subha huyee to phir laash bahar thi is baar bhi unhone yahi kaha ki ye Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam ) aur unke saathiyon ka kaam hai , kyunki uska deen isney chor diya tha, isliye unhone iski Qabr khodi hai, aur laash ko bahar nikal kar phenk diya hai, phir unhone Qabr khodi aur jitni gahri unkey bas mein thi karke uskey andar daal diya, lekin subah huyee to phir laash bahar thi, ab unhe yakeen aa gaya ki ye kisi insaan ka kaam nahi ( bulki ye mayyat Azab-e-ilahi mein giraftar hai) phir unhoney isey yu hi (zameen par) daal diya
Sahih Bukhari, Jild 5, 3617
--------------
No comments:
Post a Comment