Bismillahirrahmanirrahim
✦ Mafhum-e-Hadith: Jannat ka bazar
------------
✦ Anas bin malik Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jannat mein ek aisa bazar hai jismein jannati log har jumaa ke din aaya karenge phir shumali hawa(North wind) chalegi aur wahan ke gard o gubar (jo mushk aur zafran hai) unke chehron aur kapdon par daal degi jis se jannatiyo ka husn aur jamaal aur ziyada ho jayega phir jab wo apne gharwalon ki taraf lautenge is haal mein ki unke husn aur jamal mein ezafa ho chuka hoga to wo (unke gharwale) kahenge ki Allah ki qasam hamare bad to tumhare husn aur jamal mein aur ezafa ho gaya hai, to wo kahenge ki Allah ki qasam hamare bad tumhare husn aur jamal mein bhi ezafa ho gaya hai
Sahih Muslim , Jild 6, 7146
------------
No comments:
Post a Comment