Bismillahirrahmanirrahim
✦ Hadith: Main madine mein marne wale ke haq mein gawahi dunga
-------------------
✦ Ibn Umar Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jis se ho sake ki wo madina mein aakar mare to wahi par mare kyunki jo madina mein marega uski main shafaat karunga
Jamia Tirmidhi , Jild 2, 1849-Hasan
✦ Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs madine ki bhookh aur sakhti bardasht karega Qayamat ke din main uska shafee ya gawah banunga
Jamia Tirmidhi , Jild 2, 1856-Hasan
✦ Ibn Umar Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya tum mein se jo ye kar sake ki wo madine mein aakar mare to wo aisa jarur kare isliye ki main madine mein marne wale ke haq mein gawahi dunga
Sunan Ibn majah, Jild 2, 1269-Hasan
✦ Hadith: Zaid bin Aslam Radhi Allahu Anhu ne apne walid se suna ki Hazrat umar Radhi Allahu Anhu ye kaha karte they Ya ALLAH mujhe tere raaste mein Shahadat naseeb farma aur tere Rasool Sallallahu Alalihi Wasallam ke shahar (Madina) mein maut naseeb farma
Sahih Bukhari, Vol 3 , 1890
No comments:
Post a Comment