Updates

Post Top Ad

Saturday, 6 August 2016

Hadith: iske siwa tum kisi aur aqeede par mar gaye to jahahnnam mein dakhil honge

Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith: iske siwa tum kisi aur aqeede par mar gaye to jahahnnam mein dakhil honge
---------------------------------
✦ Zaid bin Thabit Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya agar tumhare paas uhad pahad ke barabar maal ho aur usko Allah ki raah mein kharch karo tab bhi wo tumhari janib se tab tak qubul nahi kiya jayega jab tak ki tum taqdeer par imaan na le aao , Aur jaan lo ki jo museebat tumhe pahunch gayee wo tumse talne wali nahi thi , aur jo museebat tum tak nahi pahuchi wo tumko pahunchne wali thi hi nahi , iske siwa tum kisi aur aqeede par mar gaye to jahahnnam mein dakhil honge
Sunan Ibn Majah, Jild 1, 77-Sahih

✦ Al-Mugaira Radhi Allahu Anhu ne Muawiya Radi Allahu Anhu ko likha ki
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam jab har namaz ke baad salam pherte to ye kahte ki Allah ke siwa koi maabud nahi wo Tanha hai uska koi Sharik nahi , mulk uske liye hai, aur usi ke liye tamam tareefein hain aur wo har cheej par kudrat rakhne wala hai. Eh Allah jo kuch tu dena chahe use koi rokne wala nahi, aur jo kuch tu rokna chahe use koi dene wala nahi aur tere samne daulat walon ki daulat kuch kaam nahi aa sakti
Sahih Bukhari, Vol 8, 6615

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad