Updates

Post Top Ad

Saturday, 30 July 2016

sir aur daadhi ki Safedi ko badal lo (yaani khizab lagao) magar kale rang se bachna

Bismillahirrahmanirrahim 

✦ Hadith: sir aur daadhi ki Safedi ko badal lo (yaani khizab lagao) magar kale rang se bachna
-----------------

✦ Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Yahud aur Nasara khizab (dye) nahi karte to tum log unke khilaf karo yani khizab lagao 
Sunan Nasaii, Jild 3, 1370-Sahih

✦ Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Abu Quhafa Radi Allahu Anhu ( Jo ki Abu bakr Radi Allahu Anhu ke walid hain) jis saal makka fateh huye aaye, unka sir aur daadhi sagama ( yani ek tarah ki ghaas) ki tarah safed thi to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne unki aurto ko hukm diya ki inki safedi ko badal lo magar kale rang se bachna
Sahih Muslim, Jild 6, 5509 

✦ Ibn Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya aakhri daur mein ek qaum hogi jo kaale rang ka khizab karegi kabutaro ke peeto (ya seeno) ki tarah, wo jannat ki khushbu bhi nahi paa sakegi
Sunan Nasaii, Jild 3, 1376-Sahih

✦ Thabit Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ans Radi Allahu Anhu se pucha gaya ki Kya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne khizab kiya tha ? unhone kaha ki agar main chahta to aap Sallallahu Alaihi wasallam ke safed baal Mubarak gin leta, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne khizab nahi kiya haan Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne khizab kiya mehnadi aur neel se aur Umar Radi Allahu Anhu ne khizab kiya sirf mehandi se
Sahih Muslim, jild 6, 6072


-----------------

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad