Updates

Post Top Ad

Sunday, 31 July 2016

Qabr mein puche jane wale char (4) sawal



Bismillahirrahmanirrahim

Part 2 of 2 - Qabr mein puche jane wale char (4) sawal

✦ Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya phir ek pukarne wala aasman se pukaarta hai mere bande ne sach kaha lehaza tum is ke liye jannat ka bichona bichaa do, aur is ke liye jannat ki taraf ka ek darwaaza khol do, aur usko jannat ka libaas pehna do , phir jannat ki hawa aur uski khusboo aane lagti hai, aur had-e-nigah tak uske liye Qabar kushadah kar di jati hai .

✦ Aur raha kafir to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne uski mout ka zikr kiya aur farmaya uski rooh
uske jism mein lota di jati hai, is ke paas do farishte aate hain, usko uthate hain aur puchte hain : Tumhara RAB kon hai? woh kehta hai : haa haa ! mujhe nahi maloom,wo dono phir us se puchte hain : Wo shakhsh kaun hain jinko tumhari taraf bheja gaya tha ? woh kehta hai : haa haa ! mujhe nahi maloom, phir wo dono us se puchte hain : tumhara deen kya hai? wo kahta hai : haa haa ! mujhe nahi maloom, to pukarne wala aasman se pukaarta hai : isne jhoot kaha, iske liye jahannum ka bichona bichaa do aur jahannum ka libaas pehna do, aur is ke liye jahannum ki taraf darwaaza khol do, to is ki tapish aur is ki zahrili hawa aane lagti hai aur is ki qabar tang kar di jati hai yahan tak ke is ki pasliyan idhar se idhar ho jati hain

✦ jarir Radi Allahu Anhu ki rivayet mein yeh izafah hai : ” phir is par ek andha goonga ( farishta ) muqarrar kar diya jata hai, is ke sath lohe ka ek aisa hathoda hota hai agar woh usko kisi pahad par bhi maare to wo bhi khaak ho jaye, phir wo us par (kafir par) iski ek zarb (chot) lagata hai jis ko mashriq o magrib ke darmyan ki saari makhlooq siwaye aadmi aur jin ke sab sunte hain, aur uske baad wo mitti ho jata hai aur phir se is mein rooh lota di jati hai
Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1325-Sahih –Part 2


-----------------------------------

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad