Updates

Post Top Ad

Sunday, 31 July 2016

Maidan e mahshar mein Ummat ki shfaat – Part 3

Bismillahirrahmanirrahim 

✦ Part 17 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
(Maidan e mahshar mein Ummat ki shfaat – Part 3)

✦ ….Uske baad hukm hoga Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam apna sir uthao aur arz karo tumhari arz suni jayegi tumhari darkhwast Manzoor hogi, tumhari sifarish maqbool hogi is waqt mein apne malik ki is tarah Hamd (tariff) karuga jo woh mujh ko sikha chuka hai. ( ya sikhlaye ga ) phir logon ki sifarish shuru kar dunga. lekin sifarish ki ek hadd muqarrar kar di jaye gi. mein un ko bahisht mein le jaoon ga 

✦ Phir (teesri baar) lout kar apne RAB ke paas haazir hunga aur phir se usko dekhte hi sajde mein chala jauunga aur jab tak usko manzoor hoga woh mujhko sajde hi mein rehne dega. Uske baad hukm ho ga Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam apna sir uthao aur arz karo tumhari arz suni jayegi tumhari darkhwast Manzoor hogi, tumhari sifarish maqbool hogi is waqt mein apne malik ki is tarah Hamd (tariff) karuga jo woh mujh ko sikha chuka hai. ( ya sikhlaye ga ) phir logon ki sifarish shuru kar dunga. lekin sifarish ki ek hadd muqarrar kar di jayegi, main unko jannat mein le jaoon ga. 

✦ Phir (chothi baar) lout kar apne RAB ke paas haazir hunga aur arz karunga YA RAB ab to dozakh mein aise hi log rah gaye hain jo Quran ke hisab se dozakh hi mein hamesha rehne ke layaq hain (yani kafir aur mushrik) Anas Radi Allahu Anhu ne kaha ki Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya phir dozakh se woh log nikaal liye jayenge jinhone (duniya mein ) La ilaha illAllah kaha hoga aur unke dil mein ek jau ke barabar bhi imaan hoga phir woh log bhi nikaal liye jayenge jinhone La ilaha illAllah kaha hoga aur unke dil mein gehun ke dane ke barabar bhi imaan hoga. phir woh bhi nikaal liye jayege jinhon ne La ilaha illAllah kaha ho ga aur un ke dil mein Chyunti (ant) ke barabar bhi imaan ho ga
Sahih Bukhari, Jild 8, 7410


--------------------------

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad