Updates

Post Top Ad

Sunday, 31 July 2016

Maidan e mahshar mein Ummat ki shfaat – Part 2



Bismillahirrahmanirrahim 

✦ Part 16 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
(Maidan e mahshar mein Ummat ki shfaat – Part 2)

✦ …….Phir log Moosa Alaihi Salam ke paas aayenge woh bhi yahi kahenge mein is Layaq nahi apni khata jo unhon ne duniya mein ki thi yaad karenge , (aur kahenge) tum aisa karo Eesa Alaihi salam ke paas jao woh Allah ke bande, aur uske Rasool hain, uska khaas kalma aur khaas rooh hain. 
yeh log eesa Alaihi Salam ke paas aayenge woh kahenge mein is Layaq nahi tum aisa karo Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam ke paas jao woh Allah ke aise bande hain jin ki agli pichli khatayein sab bakhsh di gayi hain
Aakhir yeh sab log jama ho kar mere paas aayenge. 

✦ Main phir apne RAB ki bargaah mein haazir honey ki ijazat manguga, mujh ko ijazat mil jayegi. Mein apne RAB ko dekhte hi Sajde mein chala jaunga aur jab tak usko manzoor hoga woh mujhko sajde hi mein rehne dega. Uske baad hukm hoga Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam apna sir uthao aur arz karo tumhari arz suni jayegi tumhari darkhwast Manzoor hogi, tumhari sifarish maqbool hogi is waqt mein apne malik ki is tarah Hamd (tariff) karuga jo woh mujh ko sikha chuka hai. ( ya sikhlaye ga ) phir logon ki sifarish shuru kar dunga. sifarish ki ek hadd muqarrar kar di jayegi. main unko jannat mein le jaoon ga.

✦ Phir (dusri baar) lout kar apne RAB ke paas haazir hunga aur phir se usko dekhte hi sajde mein chala jauunga aur jab tak usko manzoor hoga woh mujhko sajde hi mein rehne dega. Uske baad hukm hoga Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam apna sir uthao aur arz karo tumhari arz suni jayegi
Sahih Bukhari, Jild 8, 7410 –Part 2

--------------------

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad