Bismillahirrahmanirrahim
✦ Kya Maryam alaihi salam , Harun alaihi salam ki bahan thi ?
--------------
✦ Mugaira bin Shuba Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki jab main najran mein aaya to waha ke logon ( eesaeeyon ) ne is baat par aitraz kiya ki tum Quran mein (Surah Maryam aayat 28 mein) padhte ho Ya ukhta harunn ( Yani eh harun ki bahan) , jabki Musa alaihi salam , (maryam alaihi salam ke bete) Eesa alaihi salam se bahut saal pahle paida huye they (to phir Maryam alaihi salam Harun alaihi salam ki bahan kaise ho sakti hai) Jab main Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke pass aaya aur Aapse ye pucha to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya( Ye wo harun nhi jo musa alaihi salm ke bhai they) bulki Bani israeel ki aadat thi ki wo(apni aulado ka) naam Nabiyo aur neik logo ke naam par rakhte they (jaise aajkal log apne bachcho ka naam nabiyo ke naam se rakhte hain)
Sahih Muslim, Jild 5, 5598
--------------
No comments:
Post a Comment