Bismillahirrahmanirrahim
Hadith:Qayamat ke din sahib-e-Quran aayega to Quran apne RAB se arz karega , Ya Allah is se razi ho ja to Allah subhanahu us se razi ho jayega
-----------
Hadith: Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qayamat ke din sahib-e-Quran aayega to Quran apne RAB se arz karega ,YA Allah isko zeenat ata farma ( ya isko sanwar de) , phir usko ezzat ka taaj pahnaya jayega , phir wo (Quran) arz karega ya Allah isko aur zyada zeenat ata farma ( aur zyada sanwar de) , phir usko ezzat ka joda pahnaya jayega , phir wo (Quran ) arz karega Ya Allah is se razi ho ja to Allah subhanahu us (sahib e Quran) se razi ho jayega , phir us se kaha jayega ki padhta ja aur (darjat par) chadhta ja aur har aayat ke badle uski neikiya zyada ki jayegi
Jamia Tirmizi, Jild 2, 820-Hasan
No comments:
Post a Comment