Bismillahirrahmanirrahim
✦ Hadith: Musalman wo hai jo musalman ko Apni Zuban aur haath se (Takleef pahunchne se) mahfooz rakhe
--------------
✦ Abdullah bin Amr bin al-As Radi allahu anhu se rivayat hai ki Ek shakhs ne
Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam se pucha ki kaunsa musalman behtar hai ? to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya wo musalman jiski zuban aur haath se dusre musalnman mehfooz ho (yani zuban se na kisi musalman ki burayee kare aur na haath se kisi ko takleef de)

Sahih Muslim, Jild 1, 161
✦ Abdullah bin Amr Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Musalman wo hai jo musalman ko Apni Zuban aur haath se (Takleef pahunchney se) mahfooz rakhe aur Muhajir wo hai jo un cheezon se ruk jaye jis se ALLAH ne mana kiya.
Sahih bukhari, Vol 7 , 6484
✦ Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya momeen dusre momeen ka aaeena hai, aur momeen dusre momeen ka bhai hai jo nuksaan ko us se dur karta hai aur uski gair mojudgi mein uski hifazat karta hai
Sunan Abu Dawud, Vol 3, 1486 ( Hasan)
--------------
No comments:
Post a Comment