Updates

Post Top Ad

Wednesday, 28 November 2018

Allah ke is Ism-e-Azam ke jariye jo dua maangi jati wo Qubul hoti hai




Bismillahirrahmanirrahim
--------------
✦ Hadith : Allah ke is Ism-e-Azam ke jariye jo dua maangi jati wo Qubul hoti hai
--------------
Rasool Allah SallAllahu Alaihi Wasallam ne ek shakhs ko ye dua karte huye suna 

اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ بِأَنَّ لَكَ الْحَمْدَ،‏‏‏‏ لَا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ وَحْدَكَ لَا شَرِيكَ لَكَ،‏‏‏‏
 الْمَنَّانُ بَدِيعُ السَّمَوَاتِ وَالْأَرْضِ،‏‏‏‏ ذُو الْجَلَالِ وَالْإِكْرَامِ،‏‏‏‏

✦ Allahumma! Inni Asaluka Bi-Anna Lakal-Hamd. La ilaha illa Anta, 
Wahdaka La sharika Lak, Al-Mannan. 
Badi-us-samawati Wal-ard, Dhul-jalali wal-ikram 

✦ Eh Allah main tujhse sawal karta hu kyunki tere hi liye hamd hai tere siwa koi mabud e barhaq nahi , tu akela hai , tera koi sharik nahi, tu bahut ehsan karne wala hai, aasmano aur zameeno ko baghair misal ke paida karne wala hai Jalal aur azmat wala hai

✦ ye sunne ke baad Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya is shakhs ne Allah se uske ism-e-Aazam ke zariye sawal kiya hai jab bhi uske jariye sawal kiya jata hai to wo ata karta hai aur jab uske zariye dua maangi jati hai to wo qubul karta hai
Sunan Ibn Maja, Jild 3, 738-Hasan
--------------

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad