Updates

Post Top Ad

Monday, 19 February 2018

Hadith :Waseeyat mein na-insafi karne wale ka khatama bura hota hai


Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith :Waseeyat mein na-insafi karne wale ka khatama bura hota hai
----------------
✦ Al Quran : Allah Subhanahu tumhari aulad ke baare mein tumko irshad farmata hai ki (jaydad mein) ek ladke ka hissa do ladkiyo ke barabar hai (yani ek bete ko jitna hissa diya jayega uska aadha hissa beti ko bhi dena jaruri hai)
Surah Nisa(4) Aayat 11

✦ Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaye Admee 70 Saal tak (yani zindagi bhar) Neik Aaamal karta rahta hai phir waseeyat Ke waqt apni waseeyat mein nainsafi kar deta hai jiski wajah se uska khatma burey Aamal per ho jata hai aur wo jahannum mein chala jata hai isee tarh aadmee 70 saal tak burey aamal karta rehta hai lekin apni waseeyat main insaf kar deta hai to uska khatma bil-khair hota hai aur wo Jannat Mai jata hai 
Sunan Ibn Majah,Jild 2, 861-Hasan
----------------

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad