Bismillahirrahmanirrahim
✦ Hadith: Sab rozo main Afzal Ramzan ke Baad Muharram Ke Roze hain
------------------
✦ Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoolallah Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Sab rozo main Afzal Ramzan ke Baad Muharram Ke Roze hain Jo Allah Ka mahina hai Aur Baad Namaz farz ke tahajjud Ki Namaz Hai
Sahih Muslim , Vol 3, 2755
✦ Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki ek sahib Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ki khidmat mein hazir hokar arz karney lage ki Ramadhan ke baad sabse ziyada fazilat kaunse rozo ki hai to Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Allah ka mahina jise tum Muharram kahte ho.
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1742 - Sahih
------------------
No comments:
Post a Comment