Updates

Post Top Ad

Friday, 29 September 2017

9 Aur 10 Muharram ka Roza

Bismillahirrahmanirrahim
Mafhum-e-Hadith - 9 Aur 10 Muharram ka Roza

------------------------
✦ Ibn Abbas Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam jab madina mein tashreef laye to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne yahudiyo ko dekha ki wo Ashura ke din (10 Muharram) ka roza rakhte hain, Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne unse iska sabab pucha to unhone kaha ki ye ek achcha din hai is din Allah susbhanhu ne bani israeel ko unke dusman ( firaun) se nijat dilwayee thi isliye Musa Alaihi salam ne us din ka roza rakha tha to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Musa Alaihi salam par tumse zyada haq hamara hai, phir Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne bhi us din roza rakha aur Sahaba Radi allahu anhuma ko bhi iska hukm diya
Sahih Bukhari, Vol 3, 2004


✦ Abdullah Bin Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Jab Roza rakha Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Ne Aashurey ke din (10 Muharram) ka aur Huqm (Order) Kiya is Rozey ka, to logo ne Arz ki Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ye din to aisa hai ki iski Taazim karte hain Yahud aur Nasara,To Aap Sallallahu Alaihi wasallam Ne farmaya Ki Jab Agla Saal aayega to Insha-Allah Hum 9 ka Roza Rakhege,Aakhir Agla Saal na aane paya ki Aap Sallallahu Alaihi wasallam Duniya se wafat pa gaye(isliye hum musalman 9 muharram aur 10 muharram dono ka roza rakhte hain)
Sahih Muslim, Vol 3, 2666
------------------------

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad