Updates

Post Top Ad

Tuesday, 6 June 2017

Subah ke sare azkars mein se meezan par sabse bhari azkar

✦ Subah ke sare azkars mein se meezan par sabse bhari azkar
-----------------------
✦ Ummul Momineen Juwairiyah Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam subah ko unke pass se nikle , wo apni namaz ki jagah mein subah ki namaz ada kar rahi thi, Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam wapas chasht ke waqt laute to dekha ki wo wahi baithee huyee hai, Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne pucha ki jab se main tumhe chorh kar gaya tha tabse kya tum isee haal mein rahi ? Unhone kaha ji haan. 

Aapne farmaya maine tumhare baad chaar kalme 3 baar padhe , agar in kalmo ka wajan kiya jaye un kalmo ke saath jo tumne aaj abhi tak padhe hain to yahi bhari rahnege wo kalimat ye hain 
‎سُبْحـانَ اللهِ وَبِحَمْـدِهِ عَدَدَ خَلْـقِه
‎وَرِضـا نَفْسِـه
وَزِنَـةَ عَـرْشِـه
‎وَمِـدادَ كَلِمـاتِـه 

Subhaanallaahi wa bihamdihi Adada khalqihi 
Wa ridhaa nafsihi, Wa zinata Arshihi 
Wa Midaada Kalimaatihi

tarjuma : Main Allah subhanahu ki paaki bayan karta hu uski makhluqat ki tadad ke barabar, aur uski khushi ke barabar, Aur uske Arsh ke wazan ke barabar, aur uske kalimat ki siyahi(ink) ke barabar.
Sahih Muslim, Jild 6, 6913

---------------------------

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad