Bismillahirrahmanirrahim
✦ Mafhum-e-Hadith:Sood lene wale ko aakhirat mein paththar ka azab
-------------
✦ Samura bin Jundab Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Raat mein maine do aadmee dekhe wo dono mere paas aaye aur mujhe Bait-ul-Muqaddas mein le gaye phir hum sab wahan se chale yahan tak ke hum ek khoon ki Nahar par aaye wahan ek shakhs(nahar ke kinare par) khada hua tha aur nahar ke beech mein bhi ek shkash khada hua tha .(nahar ke kinare) khade hone wale ke samne paththar Padhe huye they, beech nahar wala aadmee aata aur jaise hi wo chahta ki wo bahar nikal aaye to bahar wala shakhs uske munh par paththar kheench kar marta aur wo jaha tha wahi phir laut jata, maine apne saathiyon se pucha ki ye kya hai to unhone uska jawab ye diya ki nahar mein tumne jis shaksh ko dekha wo sood khane wala insaan hai.
Sahih Bukhari, Vol 3, 2085
✦ Hadith: Jabir Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne Laanat ki hai Sood (byaj) lene wale par aur Sood dene wale par , aur Sood likhne wale par aur Sood ke gawahon par aur farmaya wo sab barabar hain
Sahih Muslim, Vol4, 4093
-------------
No comments:
Post a Comment