Bismillahirrahmanirrahim
✦ Hadith: Jab farz namaz ki takbir (iqamah) ho jaye to farz namaz ke siwa koi aur namaz nahi padhni chahiye
-------------------
✦ Hadith : Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Jab farz namaz ki takbir (iqamat) ho jaye to farz namaz ke siwa koi aur namaz nahi padhni chahiye
Sahih Muslim, Jild 1, 1644
✦ Ibn buhaina Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki ek baar subah ke namaz ki takbir hone lagee aur Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne dekha ki ek shakhs namaz padh raha hai aur muazzin takbir kah raha hai to Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne faramya ki kya tum subah ki 4 rakat (farz) padhte ho ?
Sahih Muslim, jild 1, 1650
✦ Abdullah bin Sarjis Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki ek shaks masjid mein aaya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam subah ki farz namaz padha rahe they usne masjid ke kinare par do rakaat sunnat padhi aur phir Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke saath sharik ho gaya jab Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne salam phera to farmaya eh falah tumne farz namaz kisko gina ? jo akele padhi wo ya jo hamare saath padhi wo ?
Sahih Muslim, jild 1, 1651
✦ Note: Kuch hamare farz namaz ke waqt khas karke fajar ke waqt aqamat ho jane ke baad bhi aakar pahle sunnat padhte hain wo is hadith ke hisab se Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke hukm ke khilaf amal karte hain.
----------------------------------
No comments:
Post a Comment