Bismillahirrahmanirrahim
✦ Al Quran : Eh Imaan walo Mere dushmano aur apney dushmano ko dost na banao , ke (tum to) unkey pass Dosti ke paigham bhejtey ho , halanki tumhare pass jo sachcha deen aaya uskey ye munkir hain .
Surah Al-Mumtahana (60), Verse 1
✦ Hadith: Abu Said Khudri Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum apney pahley ki ummaton ki ek ek balisht aur ek ek ghaz mein itteba (pairwee) karogey yahan tak ki wo kisi Goh ( lizard) ki surakh mein dakhil huye hongey to tum bhi unki itteba karoge humney pucha Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam kya is se Yahud aur nasara murad hai to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya phir aur kaun. (haan yahi murad hai)
Sahih Bukhari, Vol 8, 7320
✦ Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah SallallahuAlalhi wasallam ne farmaya Aadmee apne dost ke deen par chalta hai isliye tum dekh liya karo ki kisko dost bana rahe ho.
Sunan Abu Dawud, Vol 3 1405-Hasan
✦ Abdullah bin masood Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya insaan uske saath rahega jis se wo Muhabbat karta hai.
Sahih Bukhari, Vol7 ,6168
---------------
No comments:
Post a Comment